Jab sapno ke last attempt mein failure milta hai tab koi Plan B kaam nahi aata, dekhiye ek aise student ki kahani jisne haar naa maan kar ALC tak ka safar tay kiya.
Bikhre sapno ko sawaarne ke liye sirf ek umeed hi kaafi hoti hai, aisa hi kuch hua hai Sandeep Bhaiya ke saath. Kya yahi ek umeed Sandeep Bhaiya ko wapas UPSC ka raasta dikha paayegi?
Success ki importance ek failure se jyada kisiko pata nahi hoti. UPSC se ek aur baar haar kar Sandeep Bhaiya saari ummedein chhodenge yaa apne sapno ke liye fight karenge?
Jab zindagi hi itna kadwa mod le aaye toh kaun haar nahi maanega? Aarushi ke saath bhi aisa hi kuch hua hai par hote hain kuch Sandeep Bhaiya jaise log jo apno ke liye koi bhi ladai ladne ko taiyaar hote hain! Kya hoga aage?